Keh Rahi Hai MereKeh rahi hai merKeh rahi hai mere jazbaat ki jhankaar tujheKar sake ga na koi meri tarah pyaar tujheRaqss karti hai tere khoon mein meri khushbuKya lubhaaye gi kisi phool ki mehkaar tujheWoh baddan aik hi mar'mar se taraashey jis neMain ne paaya usi fankaar ka shaahkar tujheShayed ab chup na sake raaz-e-mohabbat meraMain ne chup reh ke sadaa di hai kayi baar tujhe
Apna Hissa ShumarApna hissa shumaApna hissa shumar karta thaMujhse itna woh pyaar karta thaWoh banata tha meri tasveereinUnse batein hazaar karta thaMera dukh bhi khuloos-e-niyat seApna dukh hi shumar karta thaSuch samjhta tha jhooth bhi meraYun mera aitbaar karta thaPehle rakhta tha phool raaste meinPhir mera intezar karta thaAaj pehlu mein wo nahi 'faraz'Jo mujh pe jaan nisaar karta tha
Sarakti Jaye HaiSarakti jaye haSarakti jaye hai rukh se naqab ahista-ahistaNikalta aa raha hai aftab ahista-ahistaJawan hone lage jab wo to hum se kar liya pardaHaya yaklakhat aayi aur shabab ahista-ahistaShab-e-furkat ka jagaa hun farishton ab to sone doKabhi fursat mein kar lena hisab ahista-ahistaSawal-e-vasl par un ko adoo ka khauf hai itnaDabe hontho se dete hain jawab ahista- ahistaHamare aur tumhare pyaar mein bas farq hai itnaIdhar to jaldi jaldi hai udhar ahista- ahistaWo bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahun un seHuzoor ahista-ahista janaab ahista-ahista
Ek BaarEk baaEk baar kar ke aitbaar likh doKitna hai mujh se pyaar likh doKat ti nahi yeh zindagi, ab tere binKitna karoon aur intezar likh doTaras rahi hun badi muddat seIss bar apni mohabbat ka izhaar likh doDeewane ho jayein jise padh ke humKuch aisa tum mere naam likh doZayada nahi likh sakte to mat likhoMohabbat bhare lafz do chaar likh doEk baar likho mohabbat hai tum sePhir yehi jumla baar baar likh do
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron MeinGul tera rang churaa laye hain gulzaron meinJal raha hun bhari barsaat kee baucharon meinMujhse katra ke nikal ja, magar ai jaan-e-hayaDil kee lau dekh raha hun tere rukhsaron mein.Husn-e-begana-e-ehsaas-jamaal achhaa haiGunche khilate hain to bik jaate hain bazaaron meinJikr karte hain tera mujhse ba-unvaan-e-jafaaCharagar phool piro laye hain talwaron meinZakham chhup sakte hain lekin mujhe fan hi saugandhGham kee daulat bhi hai shaamil mere shahkaron meinMujhko nafarat se nahi pyaar se masloob karoMain to shaamil hun mohabbat ke gunahwaron mein
Dil Do To Kisi Ek KoDil do to kisi ek ko, jo dil se nek hoAggar sachha pyaar na mile, try maro har ek ko